For those who seek the blessings of Saraswati Ma, remember to offer clothes and flowers which are yellow in colour (yellow represents knowledge, prosperity and wisdom) and chant the aarti mentioned below!
Saraswati Mata Aarti
Om jai saraswati mata, jai jai saraswati mata
Sadgun vaibhav shalini, tribhuvan vikhyata
Jai jai saraswati mata
Chandravadani padmasini dyuti mangal kaari
Sohe shubh hans sawaari, atul tej dhaari
Jai jai saraswati mata
Baaye kar mein veena, daaye kar mala
Sheesh mukut mani shohe, gale motiyan mala
Jai jai saraswati mata
Devi sharan jo aaye, unka uddhar kiya
Baithi manthra dasi, rawan sanhar kiya
Jai jai saraswati mata
Vidya gyan pradayini, jag mein gyan prakash bharo
Moh aur agyan timir ka jag se nash karo
Jai jai saraswati mata
Dhoop deep fal meva, man swikaar karo
Gyanchkshu de mata , jag nistar karo
Jai jai saraswati mata
Maa sarswati ji aarti jo koi nar gave
Hitkari shukhkari gyan bhakti pave
Jai jai saraswati mata